SJS Kutumb – Sakal Jain Samaj Mandsaur ki official community app

नवीनतम संस्करण

संस्करण
अद्यतन
20 अप्रैल 2026
डेवलपर
श्रेणी
Google Play ID
इंस्टॉल की संख्या
100+

App APKs

SJS Kutumb APP

SJS Kutumb – Sakal Jain Samaj Mandsaur ki official community app hai. Yeh app hamare samaj ke sabhi sadasyon ko ek jagah jodti hai.
PARICHAY KIRAN - FAMILY DIRECTORY
Apne parivar ko app mein register karein. Poore samaj ki family directory mein sabhi parivaron ke naam, photo aur sampark vivran dekh sakte hain.
SAMAJ SAMACHAR
Samaj ki taaza khabren, events aur announcements seedha app par padhen.
BLOOD DIRECTORY
Emergency mein samaj ke blood donors dhundhen. Blood group filter karke donors ka naam aur contact number paayein. Khud bhi blood donor ke roop mein register karein.
VIVAH PARICHAY
Samaj ke yogya var aur vadhu ka parichay dekhen. Apna profile submit karein - admin approval ke baad directory mein dikhega.
JAIN PANCHANG
Rozana ka Jain Panchang, tithi, parv, suryoday-suryast aur choghadiya dekhen.
JAIN TEERTH
Desh bhar ke prasidh Jain teertha sthalon ki jaankari, photos aur location.
NAUKRI / VACANCY
Samaj ke log apni job vacancy yahan post kar sakte hain. Naukri chahiye wale apna resume submit kar sakte hain.
BUSINESS DIRECTORY
Samaj ke vyapariyon ki directory. Apna business register karein aur samaj ke log aapke paas pahunchen.
PROFESSIONALS DIRECTORY
Samaj ke doctors, lawyers, engineers aur anya professionals ki directory.
BIRTHDAY & ANNIVERSARY
Samaj ke sadasyon ke birthday aur vivah varshganth ki yaad dilane wali suchna.
PRAVASI SADASYA
Mandsaur se bahar doosre shaharon mein rehne wale samaj ke sadasyon ki directory.
NOTIFICATIONS
Samaj ke events, blood emergency, birthday aur news ki seedhi notification.
VISHESHATAEN
- Hindi aur English dono bhasha support
- Secure login - mobile number se
- Sadasya pehchan patra (ID Card) aur QR Code
- Admin approved content - quality assured
- Android 13+ fully supported
SJS Kutumb app ke through hamare samaj ke sabhi sadasya ek doosre se jude rahenge. Jay Jinendra!
और पढ़ें

विज्ञापन

विज्ञापन